urs e makgdoom e simna ALLAH ke waliyon ko na koi khauf hai aur na wo gamgeen hone
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 ALLAH KE WALIYO KO NA KOI KHAUF HAI AUR NA WO GHUMGHEEN HONGE 🥀* *✏️ Hazrat Syed Makhdoom Ashraf simnani ka Mukhtasar Tarruf* Naam: Sultan Syed Ashraf Walid: Sultan Syed Ibraheem Noor bakhsh Walida: Bibi Khadija Wiladat: Aapki wiladat 8vi Sadi hijri mein iran ke Simnaan name ilaqe mein hui. Silsila-e-Nasab: Aap ka silsila-e-Nasab apke walid-e-Mohtaram ki janib se Hazrat Imam Baqar ke waste se Maula-e-Kainat wa Siyada-e-Kainat RadiAllahu anhuma wa Alaihimus salaam tak jaa milta hai. Aap Hussaini Saadaat hain. Aapki walida us waqt ke mashoor sufi buzurg Khwaja Ahmad ki aulaad mein se thi. Alqabaat: Apko aapke hum asar sufiya wa mashaikh ne bahut sare alqabaat se yaad farmaya hai. Jinme se chnad mashoor alqabaat mundarjazail hain. 1. Qaduwatul Kubra 2. Jahangeer 3. Mahboob-e-Yazdani 4. Ghause Aalam Wiladat ki basharat: Apke walid-e-Mohtaram Hazrat sultan Ibraheem Simnan ke sultaan the. Hazrat Makhdoom Ashraf rahmatullah alaih ki wiladat se...