urs e makgdoom e simna ALLAH ke waliyon ko na koi khauf hai aur na wo gamgeen hone

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 ALLAH KE WALIYO KO NA KOI KHAUF HAI AUR NA WO GHUMGHEEN HONGE 🥀*



*✏️ Hazrat Syed Makhdoom Ashraf simnani ka Mukhtasar Tarruf*

Naam: Sultan Syed Ashraf
Walid: Sultan Syed Ibraheem Noor bakhsh 
Walida: Bibi Khadija
Wiladat: Aapki wiladat 8vi Sadi hijri mein iran ke Simnaan name ilaqe mein hui.
Silsila-e-Nasab: Aap ka silsila-e-Nasab apke walid-e-Mohtaram ki janib se Hazrat Imam Baqar ke waste se Maula-e-Kainat wa Siyada-e-Kainat RadiAllahu anhuma wa Alaihimus salaam tak jaa milta hai. Aap Hussaini Saadaat hain. Aapki walida us waqt ke mashoor sufi buzurg Khwaja Ahmad ki aulaad mein se thi. 

Alqabaat: Apko aapke hum asar sufiya wa mashaikh ne bahut sare alqabaat se yaad farmaya hai. Jinme se chnad mashoor alqabaat mundarjazail hain. 
1. Qaduwatul Kubra
2. Jahangeer
3. Mahboob-e-Yazdani
4. Ghause Aalam

Wiladat ki basharat: 

Apke walid-e-Mohtaram Hazrat sultan Ibraheem Simnan ke sultaan the. Hazrat Makhdoom Ashraf rahmatullah alaih ki wiladat se qabl aapke walidain ko 3 sahebzadiyo ki nemat haasil hui. Phir 8 ya 12 saal tak koi aulaad nahi hui. Ek din ka waqiya hai ki Sultan ibrahim ke mahal mein ek majzoob buzurg tashreef laye. Sultan ko bahut hairat hui ki itne sakht pahra hone ke bawajood aap mahal mein kaise tashreef le aaye? Phir bhi aapne unki khidmat wa khatirdari ki. Un buzurg ne aapko ye basharat di ke tumhare yaha ek ayesa Mubarak ladka paida hoga jiske naqsh-e- muqaddas se ek aalam faizyaab hoga.
Taleem-o-Tarbiyat:

Jab aapki umr shareef 4 saal, 4 maah, 4 din ki hui to rasm-e-Bismillah ada kiya gaya. Hazrat Maulana Ammaduddin Tabrezi ne apko Bismillah padhaya. Apne 14 saal ki umr mein tamaam muraweja oloom se faraaghat hasil kar li. Aap apne bachpane se hazrat Alaauddaula simnani ki khidmat mein hazir hote rahte the jo ke apne waqt ke maaroof sufi the. 

Takht-o-Hukoomat:

Aapke walid Sultan Syed ibraheem ke daar-e-Faani se rukhsat farma jane ke baad 17 saal ki umr shareef mein riyasat-e-simnaan ke waris bane aur takht nasheen hue. Lekin aapki tabiyat ka milaan faqeeri aur durwaishi ki taraf tha isiliye thode arse ke baad hazrat-e-Khizr alaihis salam se mukaqat ka sharf mila aur unke targheeb dilane par takht o hukoomat se dast bardaar ho gye aur mulk simnaan chor diya. Aapke baad apke chote bhai Aarif Muhammad ko hukoomat saupi gyi. Hukoomat se dast bardari ke baad apne saiyyahat ke liye walida se ijazat li aur akhri mulaqat ki. Aapke walida ke israar par aapke saath ghudsawaar aur paa piyada logo pe mushtamil ek fauji qafila bheja jisko aapne simnan ki sarhad se lauta diya aur tanha safar ikhtiyaar kiya. Yaha tak ki wo ghoda jispar aap khud sawaar the wo bhi raste mein kisi zaroorat mand ko de diya aur paidal safar karne lage. Apko milne wale bashaarat ke baais aap hind ki taraf rawana hue. Raste mein Multan ki sarzameen pe Hazrat Syed Jalaaluddin Bukhari makhdoom-e-jahaaniya jahaagasht rahmatullah alih se mulaqat hui. Aapki tashreef aawri jab bihar mein hui to Makdoome Jahaan Shaikh Sharfuddin parda farma chuke the. Apki wasiyat ke mutabiq aapki namaz-e-janaza Hazrat Makhdoom Ashraf radiAllahu anho ne padhai. Aur makhdoom sharfuddin ki peshangoi aur wasiyat ke mutabiq aapka jubba o dastaar Makhdoom Ashraf simnani ko ata kiya gaya.

✏️Apka safar-e-Tareeqat wa bait o khilafat : Hazrat Khizr alaihis salam ne aapko hazrat Owais Qarni RadiAllahu anho ke azkar ki taleem di aur award-e-Owaisiya se mushrraf farmaya. Uske baad raste mein bhi buzurgo se faiz hasil karte hue delhi, bihar ka safar karte hue Pandwa shareef tashreef laye. Waha Hazrat Makhdoom alaaul haq pandwi ne aapka istaqbaal kiya. Aur aapko silsila-e-chistiya Nizamiya mein bait farmaya aur wahi khilafat-o-ijazat se nawaza. 

Maamoolaat:

✏️Apko bachpan se sufiya se lagaaw tha. Nau umri mein hi buzurgo ki bargaah me hazir hote rahe. Aapki tabiyat faqeeri aur durwaishi ki taraf mail thi. 
Aapko sher o shairi se khasa lagaaw tha. Jis waqt aap Tarik-e-saltanat hue aapke asaahr ka majmooa diwan ki shakl mein manzare aam par aa chukka tha. Simnaan se baher nikale warq aapki zuban par ye ashaar jaari the.

TARK-E-DUNIYA GEER TA SULTAN SHAWYY
MEHRAM-E-ISRAAR BA JANAAN SHAWY.

Jab aapne dast-e-murshid pe bait ki to aapne ek ghazal kahi

✏️MAA BAR JANAB-E-KHUD SIRR NIHAA DAA-YIM
RUKHT-E-WUJOOD BAR SAR EIN DAR KUSHADA-YIM

✏️Tark-e-saltanat karne ke baad aapne mukhtalif mulko ka safar kiya aur 2 baar paa piyada hajj kiya. Apne safar mein unho ne be shumar guraah logo ko raahe hidayat pe lagaya. Aur bil aakhir hind ke faizabaad shahar se 35 mile door Rooha baad (maujooda kichaucha, U.P) mein makeen hue. 28 Muharramul Haram 808 san hijri mein aapne Safar-e-Aakhirat ikhtyar kiya aur apne Mehboob-e-Haqiqi se jaa mile.

👉Aapki karamatein be shumar hain jinka zikr is post mein mumkin to hai lekin taweel ho jane ke khadshe ye bayan mauqoof karte hai. Aapka mazar-e-aqdas aaj bhi Allah paak ki makhlooq ko mauje dariya ki tarah Rohaani faiz baat raha hai.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

MIRA DATAR

20 अप्रैल 571 ईस्वी